Exam me likhane ka best tarika hindi me


Board  Exam Me Likhane Ka Best Tarika

Padhai to sabhi karte hai par bhi ham exam me achche number nahi la pate hai?yah sawal sabhi ke man me rahta hai.dosto padhana hi sab kuch nahi hai .hum books ko puri padh denge par hamari likhane ki jo शैली hai वो भी अच्छी होनी चाहिये tabhi hum exam me achche number la sakte hai.
Agar hamari handrighting achchi hai to isase paper chaqe  karne wala achche  se chaqe karta hai.
Is post me mai aapko bataunga ki exam me kaise likhe aur likhane ki taiyari kaise kare……

pariksha me kaise likhe



Exam me likhane ka best tarikaHow to write the exam paper


1.. Sabse pahle exam me kya likhe:-

yah sawal sabka rahta hai ki exam me sabse pahle kya likhe ? hame un sawalo ke javab ko pahle likhana chahiye  jise hum achchi tarah se jante hai aur jiske bare me hum bahut lamba aur best likh sakte hai. Iska matlab ye ki jis question ka ans hame puri tarah se pata ho. Ise hame sundar aur saaf akchar me likhana hoga  jisse paper chaqe karne wala thik se chaqe kare aur baaki que.ko bhi isi najar se chaqe kare aur number de.

2.Likhane par dhayan de:-

 jab hum sawal hal kar rahe ho to hame apne likhawat par dhayan dena chahiye ki hamari writing to sahi ban rahi hai ki nahi . hame bahut jaldi jaldi nahi likhana chahiye n hi aaram se . hame saaf saaf akchar me likhana chahiye. Jyada kat-chat nahi karna chahiye jisse answer sheet ganda dikhe aur paper chaqe karne walaa sahi ans me bhi kam number de. Isliye hame likhane par dhayan dena chahiye.

3.Question  ke  ans  ko  kaise likhe :-

que. ke ans.ko likhane ki shuruaat me hame bold akchar me beech me que.ka no.dena chahiye jaise agar 5 sawal hai to  ANSWER-05  Ya kisi que. ka sub.question hai to ANSWER-05(A) is tarah se likhana chahiye. Is tarh se likhane se chaque karne wala achche se chaque karta  hai .use kon sa que. ka ans likha hai yah samjhane me kathinai nahi hoti hai aur sahi sahi ans ko mark karta hai. Koi que nahi unmark hota hai. Achche se chaqe karta hai.

Aap read kar rahe hai

Board exam me likhne ka tarika in hindi


4. .Paper solve karne ke baad use chaque kare :-

exam me paper ko hal karne ke baad hame use aaram se chaque karna chahiye.likhate samay hame samay ka khasa dhayan rakhana chahiye ki samay bache aur last me paper ko chaque  karne ke liye hame time bachana chahiye. Sabhi que ko milana chahiye aur ans ko bhi milana chahiye ki sahi sahi likha hai ki nahi. Jiska adhura likha hai use aur pura karna chahiye.

5.. Question ke answer ko kis kram me likhe:-

jab exam me likhane ki baat aati hai to hame unhi sawalo ke jawab ko pahle likhana chahiya jinka jawab hame aasani se aata hai hai isi kram me hum sawalo ke jawab ko likhate jaye.jisko hum achche jante hai usko pahle fir kam wale ko uske baad aur jisko nahi jante use last me likhe. Galat jawab ko Last me likhane se chaquer  man me utna negative prabhav nahi padta hai. Baki sabhi right sawalo ke nagar se chaque karta hai.

इनके अतिरिक्त कुछ और :-
1.        Sabda seema ka dhayan rakhe. Limit se bahut jyada answer n ho aur na hi sabda seema se bahut kam.

2.       Ek hi pen aur ek hi color ke pen ka istemal kare baar baar pen nahi badlna chahiye. Isse sabdo ki sundarta bigad jati hai.

3.       Exam me ek ghadi jarur pahne.

4.       Exam ke din koi book padhane ke liye parikcha Kendra me nahi le jana chahiye. Jitni padhai ho ghar se kar ke jaye.

5.       Samay se pahle pahuch jaye taki koi hadbadi na ho.

6.       Pravesh patra ko ek divas purv sambhal kar rakhe.

7.        Ghar me likh-likh kar padhane ki practice kare.

8.       Paper ko hal karne se pahle puri question paper ko padhana chahiya.

9.       Sabhi question ko hal karna chahiye. Koi bhi question nahi chutna nahi chahiye.

10.     Question ko Dosto se discus karte rahna chahiye.

Aapne jaana

Exam me answer kaise likhe

 Dosto agar aap in sab stap ko follow karte hai hai to aap nischit hi exam me top karenge ,aapki handwriting achachi banegi achache number milega.paper chaquer ke man me achcha prabhavc de payenge achacha ank milega.

Dosto agar aap aur adhik janna chahte hai to hamara ye aarticle Exam me top kaise kare   yah pad sakte hai aur apne exam ki taiyari kar sakte hai.



अगर आपको मेरा ये आर्टिकल पसंद आया तो आप इसे अपने दोस्तों को जरुर बताए ,इसे सोशल मीडिया में जरुए शेयर करे.
अगर आपको इस तरह के और आर्टिकल चाहिए आप मुझे कमेंट बॉक्स में जरुर बताये.
एजुकेशन सम्बन्धी किसी भी जानकारी के लिए मेरे ब्लॉग को जरुए subscribe करे .

 also read 
exam में time manage कैसे करे
long answer कैसे याद करे 
handwriting कैसे सुधारे  


Labels: