Shareit se pc par file transfer kaise kare hindi jankari

Shareit Connect And Transfer Kaise Kare
Dosto samay ke sath har chij badal jata hai. chahe wah koi bhi chij kyo na ho. Tech word se lekar hamari life tak sab badal jata hai.

Aaj is post me batane wala hu ki kaise ham computer par shareit se file transfer kar sakte hai. pahle to file transfer karne ke liye data cable se blutooth se kiya jata tha lekin aaj kal to wifi ka jamana aa gya hai jisse kuch second me hi badhi size ki file ko send kiya ja sakta hai.

Shareit ka use vaise to mobile me kiya jata hai. har mobile user ke paas yah android app hota hai. yah app kafi popular bhi hai file transfer and recive karne ke liye.


How to share files use shareit on pc

Shareit android app avaleble hone ke sath sath window app bhi uplabdh hai jisse apne pc par bhi file ko transfer kar sakte hai. isme mobile ko data cable se pc par connect nahi karna padta hai. isme wifi ke thruw hi file ko send aur recive kiya jaata hai.

Shareit wifi ke dwara kaam karta hai kahi bhi file transfer aur recive karne ke liye divice me wifi hona chahiye.

Computer me wifi hone se hi shareit se yah kaam kar sakte hai. market me aise bahut sare wifi adepter saste me mil jayenge jisse aap yah kaam kar sakte hai.

How to use shareit in pc send & transfer files
jaisa ki maine bataya ki device me shareit app hona bahut hi jaruri hai to aap mobile ke liye shareit playstore se download kar sakte hai aur apne computer ke liye koi bhi pc app store se online free me download kar sakte hai.

aap ki aasani ke liye shareit window ke liye ka link aap niche se download kar sakte hai.
                                        DOWNLOAD SHAREit
How To Transfer File Using Shareit Hindi

ise maine steb by step batane ki koshish kiya hai agar koi samsya aati hai to aap hame apni problem comment me bta sakte hai.

➧Download karne ke baad use install kar le aur use open kare.

➧Iske baad apne mobile ke shareit ko open kare.

➧Mobile me recive ke option ko click kare. Click karne ke baad naye page open hoga usme se connect to pc ko click kare.

Mobile me searching ka option aa jayega aur wah pc ke wifi ko search karega. Mobile screen me show karega aap use touch kare aur mobile pc se connect kar lega.

➧Ab aap koi bhi file ko mobile se computer par ya computer se mobile par bhejne ko taiyaar hai.

➧Mobile me shareit se koi bhi file ko select kare aur send kar de. Computer par accept ka option aayega aap accept kar de.

Kuch second me file pc me chala jayega.

Computer se mobile me shareit se transfer  
Computer se mobile me bhejne ka step bahut hi saral hai.
➧Sabse pahte apne mobile ke shareit ko on kar le.

➧Pc par jis file ko send karna chahte hai us par right click kare aur send shareit select kare.
 (agar ek sath bahut sare file ko mobile me send karna chahte hai to sabhi files ko select karke us par right click karke share via shareit select kare)

➧Mobile me recive ka option aayega use accept kar de. Mobile me file transfer chalu ho jayega.

Mujhe ummid hai Agar aapne yah post achchi tarh se read kiya hoga to aap jarur hi shareit se file transfer kar sakte hai.

Aapko ye post kaisa lha jaru bataye aur apne dosto ko social media me jarur share kare.

Also Read

Labels: ,